Thursday, January 22, 2009

Tareekh Karbala Gawah Yazeed Lanat Khutba K Kisi Hisa Ko Challange Nahi Kr Saka‏

BismilahArRahmanArRahme Ya Mola Haider Karar Adrikni(A.S)

Gumy Hussain(A.S)Main Rony Ka Lutf Kya Kahiye!!
Har Aik Dard Ki Apni Sift Hai Baikhabro
Garor-e-Lashkar Ada Pai Cha Gaya Asgar(A.S)
Nabi K Ghar Ki Yahi Tarbiyat Hai BaiKhabro


Tareekh Karbala Gawah Hai K Yazeed(Lanat)Khutba K Kisi Hisa Ko Challange Nahi Kr Saka Balke Is Nai Azaan Shuro Kara Di Jo Mola Sajjad Ki Fatah Moben Ka ilan Tha K Rasalat Ko Bani Hashim Ka Khail Kehne Wala Ashhaduana Muhammad Rasool Allah Kehlwa Rha hai or Mola nai Isi Maqam Pr Apne Haq Ka Ilan Kr K Risalat K Sath Zikr-e-Imamat Ki Buniyad Dal di.

Waqiya Krbala K Baad Jubh Ahly Haram Madina Ay Hain Or Madina Walon Ko Yazeed K Mazalim Ka Andazah Hoa Tu ehtajaj Ki Aaag Bharak Uthi or ehly Madina Nai Usman Bin Muhammad Jo Yazeed(Lanat )Ka Admi Tha Maazol Kr K Abdullah Bin Khanzala Ko Hakim Bana Liya Jo Janab Khanzala K Farzand Thy Jinhain Gaseel Al Malayika Is Liye Kaha Jta Hai K Rasool Allah K Irshad Pak K Motabik In ki Shahadat K Baad In Ko Malayika Nai Ghusal Diya
Yazeed(Lanat)Nai is bagawat Ko Dobany K Liy Badtareen Khlayiq Muslim Bin Uqba Ka Intikhab kiya Or Is Nai Madina Pr Charhayi Ka Mansoba Bana Liya Ehly Madina Nai defa Ka Iradah Kiya Or Sheher Se Bahir Maqam Hara Main Ghumsaan Ka Run Para Jis Se 10Hazaar Musalman Jin Main 700Hafizan-e-Quran Bhi Thy Qatal kiy Gay.Sheher Lout Liya Gaya Yeh WQIYA 28 Zulhuj Ko Paish Aya Mola Sajjad In Halaat Ki Waja Se Aik Village Ki Traf Muntaqil Ho Gay Jahan Dor-e-Hakumat Usman Main Moulay Qaynat Raha Krte Thy


Lashkar Yazeed(Lanat Nai Sare Madina Se Gulami Ki Bait Laine K Bawajood Mola Sajjad Se Bait Ka Taqaza Nahi Kiya is Ka Subh Se Bra Raaz Yeh Tha K Yazeed Aik Martaba Motaliba Bait Ka Hashar Dekh Chuka Tha oR Ise Maloom Tha K Hakumat Ki Sari Pareshaniyan Iis Aik Motaliba Ka Natija Hain Ab Is Qisam Ki Galti Ki Taqrar Nahi Honi Chahye Warna Lashkar Yazeed Sr Na Kisi Sharafat Ki Tawaqa Thi Or Na Kisi Irfan Imamat Ki.
Refrence authontic book Ali Bin Al Hussain(A.S)Zainulabideen
Krbala-e-Zainab ka Qafla Salaar.

Writter Ullama Zeshan Haider Jawadi

No comments:

Post a Comment