Monday, December 29, 2008

Rah-e-Hussain(A.S)ko zindah rakhny k liye Masumeen(A.S)Ki Tadbeer

Bismilah-ar-rahman-ar-rahem Baijaan Khudaon se kaha Bint-e-asad(A.S)NAI

Qaby main tu abh Haider-e-karar(A.S)Rahain gay.

Sarwar k azadar Mazloom ki Talwar

Islam ki History Batati hai K Mola Hussain(A.S)Ki Shahadat k baad Hakumat Hamesha Zalim or fasiq o fajar hukmaraon k qabzy main rahi Zulm o sitam ki khislat rakhny waly or zulm k khilaf ,adalat talbi or islami ehkaam nafiz krny walon k darmiyan kabhi dosti nahi ho skti is liye zalim o jabir or fasiq o fajar hukmaran majboor thy k jo log zulm k khilaf awaz buland krty hain or adalat ki khatir uth khary hoty hain in ka moqabila karain yehi reason hai k zulm ko shikast dainy ka markaz or adalat ka mehwar Hussain ibn-e-Ali ka babarkat naam hamesha dunia parast or zalim o jabir hukmaraon k hamlon ka nishana raha hai.inhon ne hamesha yeh kushish ki hai k Mola Hussain ka naam or in ki shahadat ka tazkirah khatam kiya jay kiun k yeh kamzor or baibas logon k liye zulmo sitam se nijat ki aik roshan kiran hai.is tarhan se in ki hakumat mehfoz reh jay ge or in ki pareshani kam ho jay ge bani umaiya Nai Mola Hussain ko shahed kiya laikin banu abbas jis k bary main yeh guma ho raha tha k yeh banu abbas se dushmani ki waja se in k is iqdam se baizari ikhtiyar karain gai inhon ne bhi imam ki qbar matahar ko weran karny is par pani chorny or hal chalany ki bhi koshish ki ta k Mola Hussain k asaar ko chupa diya jaya isy halaat main Mola hussain k jihad or zulm k khilaf jo Mola ka qayam krna un ka zikar dushwar hi nahi mohal mehsos hota hai Mola k naam or in ki yaad ko zindah rakhna rah-e-hussain ko jari rakhny k liy koi or tadbeer ikhtiyar krn zarori tha.ansoo bahana or azadari krna yeh wo tadber thi jo Mola Hussain k baad any waly imamon nai ikhtiyar ki balky is se bhi pehly Mola Muhammad Mola ALi or Janab-e-Fatima zehra nai isi rah ka intikhab kiya .jin rawayat main yeh milta hai k Mola Hussain pr roya jay in ka taloq sirf Mola hussain k baad any waly ayma se nahi hai balky bayiz rawayaat main milta hai k yeh silsila Hazrat adam k dour se start ho chuka tha or dosry nabion k zamnay main bhi jari raha hai jaisy Mola Hussain ki wiladat k waqat Rasool Allah ka uthana or itna rona k app ka chehra tar ho jana or wahan majod subh logon ko hairat zadah kr kar daina .bohot si rawayaat main Mola Hussain par rony ka hukam diya gaya hai is ki fazeelat batatyi gayi hai or is par ajar azeem ka wadah kiya gaya kuch rawaytain aisi milain gee app ko jis main Mola Hussain par ayma masumeen k rony ka tazkirah hai in rawayat ki kasrat se is amal se zabardast importance or shion or momino k darmiyan is k gehry asraat ka andaza hota hai masumenn Mola Hussain ka marsiya likhny waly or parhny walon ko qemti tohfy diya karty thy masumeen nai rony jaisi shakal banany or mola ki azadari ki majalise main jany ko Khuda ki bargah main ajarosawab se khali qarar nahi diya hai.

plz forward this message to as many people as u can (thanks)

No comments:

Post a Comment